Meri Jholi Choti Pad Gayi Re Itna Diya Meri Mata Lyrics In English

23:41

Meri Jholi Choti Pad Gayi Re Itna Diya Meri Mata Lyrics In English




Meri Jholi Choti Par gayi re itna diya meri Mata
Meri bigri Maa ne banayi sooi taqdeer jagayi
Yeh baat to suni sunai
Mein khud bhi ji batlata, mujhe itna diya meri Mata

Maan mila samman mila gunvan mujhe santan mili

Dhan dhaan mila nit dhyan mila
Maa se mujhe pehchan mili
Ghar baar diya mujhe Maa ne
Beshumar diya mujhe Maa ne
Harbaar diya mujhe Maa ne
Jab jab main mangane jata, mujhe itna diya meri Mata

Meri Jholi Choti Par gayi re itna diya meri Mata

Mera rog kata mera kasht mita har sankat Maa ne door kiya
Bhool se kabhi jo garoor kiya mere abhimaan ko chur kiya
Mere ang sang hui sahayi bhatke ko raha dikhayi
Kya leela Maa ne rachayi
Mein kuch na samajh patta, mujhe itna diya meri Mata

Meri Jholi Choti Par gayi re itna diya meri Mata

Upkaar kare bhav taar kare sapne sab sakaar kare
Na dair kare na mair kare bhagton ke sada bhandar bhare
Mahima hai nirali Maa ki duniya hai sawali Maa ki
Jo lagan laga le Maa ki
Mushkil mein nahi ghabrata, mujhe itna diya meri Mata

Meri Jholi Choti Par gayi re itna diya meri Mata

Kar koi jatan ae chanchal mann tu ho ke magan chal Maa ke bhawan
Pa jaye nayan paawan darshan ho jaye safal fir yeh jeevan
Tu tham le Maa ka daaman na chinta rahe na uljhan
Din raat karan simran
Kar Mata khelata, mujhe itna diya meri Mata

Meri Jholi Choti Par gayi re itna diya meri Mata

Meri Jholi Choti Par gayi re itna diya meri Mata
Meri bigri Maa ne banayi sooi taqdeer jagayi
Yeh baat to suni sunai
Mein khud bhi ji batlata, mujhe itna diya meri Mata
Meri Jholi Choti Par gayi re itna diya meri Mata

You Might Also Like

0 comments